Type Here to Get Search Results !

Manzil Se Aage Badh Kar Manzil Talaash Kar | Allama Iqbal

Manzil Se Aage Badh Kar Manzil Talaash Kar


This is motivational poetry by Allama  Muhammad Iqbal, the national poet of Pakistan. He has written a lot of poems with deep meaning and an actual message. 




Manzil Se Aage Badh Kar Manzil Talaash Kar

Mil Jaaye Tujhko Dariya To Samandar Talaash Kar

Har Sheesha Toot Jaata Hai Patthar Ki Chot Se

Patthar Hi Toot Jaaye Woh Sheesha Talaash Kar

Sajdon Se Tere Kya Huwa Sadiyan Guzar Gayin

Duniya Teri Badal De Woh Sajdah Talaash Kar

Imaan Tera Lut Gaya Rehzan Ke Haathon Se

Imaan Tera Bachaa Le Woh Rehbar Talaash Kar

Har Shakhs Jal Raha Hai Adaawat Ki Aag Mein

Us Aag Ko Bhujaa De Woh Paani Talaash Kar

Kare Sawaar Oonth Pe Apne Gulaam Ko

Paydal Hi Khud Chale Jo Woh Aaqa Talaash Kar


منزل سے آگے بڑھ کر منزل تلاش کر
مل جائے تجھکو دریا تو سمندر تلاش کر

ہر شیشہ ٹوٹ جاتا ہے پتھر کی چوٹ سے
پتھر ہی ٹوٹ جائے وہ شیشہ تلاش کر

سجدوں سے تیرے کیا ہوا صدیاں گزرگئیں
دنیا تیری بدل دے وہ سجدہ تلاش کر

ایمان تیرا لُٹ گیا رہزن کے ہاتھوں سے
ایماں تیرا بچالے وہ رہبر تلاش کر

ہر شخص جل رہا ہے عداوت کی آگ میں
اس آگ کو بجھا دے وہ پانی تلاش کر

کرے سوار اونٹ پہ اپنے غلام کو
پیدل ہی خود چلے جو وہ آقا تلاش کر.

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.