Type Here to Get Search Results !

Mohsin Naqvi Poetry In Urdu

 

Best Collections Of Mohsin Naqvi Poetry In Urdu

Best Collections Of Mohsin Naqvi Poetry In Urdu

Mohsin Naqvi Poetry In Urdu best collections



Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski

Mohsin Naqvi Poetry

Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski
Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Oski
Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen Oski
Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Oski
Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Os Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Oski
Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin Oski






Chaak Daamanian Nahi Jateen
Mohsin Naqvi Poetry

Chaak Daamanian Nahi Jateen
Dil Ki Nadaanian Nahi Jateen
Baam-o-Dar Jal Uthay Charaaghon Se
Ghar Ki Weraanian Nahi Jateen
Orh Li Hai Zameen Khud Pe Magar
Tan Ki Uryaanian Nahi Jateen
Hum Tou Chup Hain Magar Zamaanay Ki
Hahsar Saamaanian Nahi Jateen
Dekh Kar Aainay Mein Aks Apna
Oski Hairaanian Nahi jateen
Laakh Ujray Howay Hon Shahzaaday
Sar Se Sultaanian Nahi Jateen
Lashkar-e-Zulm Thak Gaya Mohsin
Apni Qurbaanian Nahi Jateen





Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
Mohsin Naqvi Poetry

Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha,
Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai, Warna
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha,
Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar
Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha,
Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna
Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha,
Rah-e-Januu Kay Nasheb-o-Faraaz Mein “Mohsin”
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha.





Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain
Mohsin Naqvi Poetry

Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain
Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain,
Hum Hain Sookhay Howy Talaab Pe Baithe Howe Hans
Jo Taaluq ko Nibhaatae Howe Mar Jaate Hain,
Un Kay Bhi Qatal Ka Elzam Hamare sar Hai
Jo Hamain Zaher Pilatay Howe Mar Jaate Hain,
Yeh Mohabat ki kahani Nahi Marti Lekin
Log kirdar Nibhate Howe Mar Jaate Hain,
Hum Hain Woh Tooti Howi kashtiyon Waale “Mohsin”
Jo kinaaron ko Milaatay Howe Mar Jaate Hain.





Muu’n chupaaye huye guzra hai
Mohsin Naqvi Poetry

Muu’n chupaaye huye guzra hai idhar se jo woh aaj,
Us ki aankhon mein koi zakham neya lagtaa hai….





Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi
Mohsin Naqvi Poetry

Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi,
Us Ki Aankhon Mein Chamak Thi Kabhi Heeron Jaisi
Kitne Maghroor Pahaaron Ke Badan Chaak Huey,
Taiz Kirnon Ki Jo Baarish Hui Teeron Jaisi
Jis Ki Yaadon Se Khayaalon Ke Khazaanay Dekhay,
Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jaisi
Chahatain Lub Pe Machalti Hui Larki Ki Tarah,
Hasratain Aankh Mein Zindaan Ke Aseeron Jaisi
Hum Anaa Mast, Tahi Dast Bohat Hain MOHSIN,
Ye Alag Baat Ke Aadat Hai Ameeron Jaisi……..!





Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Mohsin Naqvi Poetry

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain
Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Kartay Hain
Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-daar Howa Kartay Hain
Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Kartay Hain
Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain
Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain
Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain





Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah
Mohsin Naqvi Poetry

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah
Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah
Mein Oske Dil Mein Chhupi Khwaahishain Bhi Jaan Gaya
Khula Wo Mujh Se Girebaan-e-Be-Raffuu Ki Tarah
Koi Nazar Bhi Uthay Os Pe Dil Dhadak Jaaye
Mein Osse Pyaar Karuun Apni Aabroo Ki Tarah
Bohat Dinon Mein Jo Dekha Ose Tou Kia Kehiye !
Lagi Hai Oski Khamooshi Bhi Guftaguu Ki Tarah
Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-e-Chaman !
Mein Raaigaan Hee Sahi, Shaakh-e-Be-Namuu Ki Tarah
Gham-e-Jahan Tha Ke Mohsin Ujaar Mausam Tha ?
Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabujuu Ki Tarah





Aaj phir chand ufaq par nahin ubhra
Mohsin Naqvi Poetry

Aaj phir chand ufaq par nahin ubhra mohsin,
Aaj phir raat na guzrey gi suhaani apni…




Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Mohsin Naqvi Poetry

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra
Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra
Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath
SadaTairi Talaash,Zamanay, Hawa, Maira Chehra
Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra
Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra
Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra
Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra
Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra
Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi “Mohsin”
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra ?

Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein
Mohsin Naqvi Poetry

Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein,
Hazaron ghar huwe roshan jab mera dil jala MOHSIN.
Faqat ik lafz “MOHABBAT” ki hum ne bheek mangi thi,
Taras gaye khushi ko hum mili hai ye saza MOHSIN.
Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir,
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila MOHSIN.
Toota huwa ye dil le kar main kis k paas jaonga,
Hai kaun wo karay ga jo mere dil ki dawa MOHSIN.
Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan,
Main kaise bhool paön ga teri har ik adaa MOHSIN.
Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai,
Meri saari kahani ka hai tu hi aashna MOHSIN.
Nahi qaabil tere lekin munasib jo agar samjho,
Yaad rakhna duaon mein yehi hai ilteja MOHSIN.





Na jago raat bhar
Mohsin Naqvi Poetry

Na jago raat bhar ‘MOHSIN’ meri mano to soo jao
Ye ‘Khawabidah Nazr’ phir kal kisi ko maar Daly ge





Meri Udaasi
Mohsin Naqvi Poetry

MeRi AaNkHooN MaIn ChUpI UdAsI Ko MeHsOs To KaR
“~*MoHSiN*~”
MaIn SaB Ko HaNsA KaR KhUd RaaT BhAr NaHi SoTi…..!!





Ro Parogy
Mohsin Naqvi Poetry

Bahar Rutt me ujar Rasty,
Tak’ka kro gy to Ro paro gy…
Kisi se milny ko jab bhi Mohsin,
Sajja karo gy to Ro paro gy….
Tumhare wadon ne yar muj ko,
Tabah kiya hy kuch is trha se…
K zindgi me jo phir kisi se,
Dagha karo gy to Ro paro gy…
Main janta hon meri muhabbt,
Ujar dy gi tumhe bhi aise…
K chand raton me ab kisi se,
Mila kro gy to Ro paro gy…
Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen…
Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…!!!





Gham e Tanhai
Mohsin Naqvi Poetry

?’Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho
Baat itni b na brr jaye k ruswai ho
Jis ne b mujhko tamasha sa bana rakha hy
Ab zarori hy wohi aankh tamashai ho
Dobne wale to aankho se b kub nikle hain
Dobne k liye lazim nahi,gehrai ho
Main tujhe jeet b tohfey me nahi de sakta
Chahta ye b nahi hon teri paspai ho
Koi anjan na ho shehr-e-mohabat ka makeen
KASH har dil ki har ik dil se shanasai ho
Yon guzar jata hai MOHsin tere koche se woh
Tera wakif na ho jese koi SODAI ho..!





Rasm E Duniya
Mohsin Naqvi Poetry

Bhool jana to rasm e duniya hai Mohsin
Tmne bhool ker konsa kamaal ker diya





Tery Bahd
Mohsin Naqvi Poetry

Mumkin hai tery baad bhi aati hon gi baharen Mohsin
Gulshan main tery baad kabhi ja kr nahi dekha…





Wo Ranjishen …
Mohsin Naqvi Poetry

wo humsafar tha magar us se hum nawayi na thi
k dhoop chaon ka aalam raha judai na thi
Adawatein thi
Taghaful tha
Ranjishen thi
Magar
Bicharne wale main sab kuch tha magar be wafai na thi
Bicharte waqt un aankhon main thi hamari ghazal
Ghazal bhi wo jo kabhi kisi ko sunayi na thi
kisay pukaar raha tha wo doobte huey din
sada to ayi thi lakin koi duhaayi na thi
kabhi ye haal k dono main yak-dili thi Mohsin
kabhi ye marhala jaise k aashnayi na thi





Saari Wafayen
Mohsin Naqvi Poetry

‘Yun Wafa Kay Silsilay Musalsal Na Rakh Kisi Say….! Mohsin
Log ik Khata Ky Badly,Saari Wafaein Bhool Jaaty Hain.!!





Pyar ki jageer
Mohsin Naqvi Poetry

Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha…..
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha.
~~Jesay howa hai ab k wo, halaat say mray…..
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha.
~~Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia…..
ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha.
~~Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi……
Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha.
~~Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa bahut…..
Es kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha.





Zoq-e-Deed
Mohsin Naqvi Poetry
Zoq-e-Deed Mein Hy Takleef hr Roz Sara’sar
“Mohsin”
Achy rehte Hn Wahi Log Jo Mohabbat Nahi Karte…





Wo Rootha Hai
Mohsin Naqvi Poetry
Wo rootha rootha sa lgta hai
koi tarkeeb btao pass aane ki ?Mohsin?
Main zindgi girvi rkh skta hoom
tum qeemat btao usey manane ki. .




kya kehna
Mohsin Naqvi Poetry
junon e ishq ki rasmen ajeeb kya kehna
main un se duur wo mere qareeb kya kehna
ye teergi musalsal mein aik waqfa noor
ye zindagi ka tilsam ajeeb kya kehna
jo tum ho barq nasheman to main nasheman barq
ulajh pare hein hamare naseeb kya kehna
laraz gayee teri lau mere dagmagane se
charag gosha koye habib kya kehna




JAHAN TUM HO
Mohsin Naqvi Poetry
RUK HI JAATI HAI NAZAR HAD_E_NAZAR TAK “MOHSIN”.
DIL TO KEHTA HAI JAHAN TUM HO WAHAN TAK DEHKOON.!

Tmhara Mohsin
Mohsin Naqvi Poetry
Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.
Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin.
Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain.
Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin.
Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega.
Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin.
Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha.
Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin.
Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin.
Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin………






Bhais badal kar
Mohsin Naqvi Poetry
Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai
Aye shehr yaar dasht say fursat nahi ? magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai
*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai?






Bichar jana
Mohsin Naqvi Poetry
Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti..
Bichar jana muhabat ki sadaqt ki alamat hai ..
Muhabat aik fitrat hai , Han fitrat kab badaltai hai ..
So, jab hum door ho jaein, Naye rishton mein kho jaein..
Tu yeh mat soch lena tum, Keh muhabat mar gai ho gi..
Nahi aise nahi hoga ..
Mere bare mein gar tumhari ankhein bhar ayein..
Chalak kar aik bhi ansu palak pe jo utar aye..
To bas itna samaj lena ,
Jo mere nam se itni tere DIL ko aqeedat hai..
Tere dil mein bichar kar bhi abhi meri muhabat hai ..
Muhabat tu bichar kar bhi sada abad rehti hai ..
Muhabat ho kisi se tu hamesha yaad rehti hai ..
Muhabat waqt ke Be-Reham tufaan se nahi darti..
Usay kehna bicharne se Muhabat to nahi marti?.!!!





kho diya
Mohsin Naqvi Poetry
Ankhain khuli to jag uthi hasratain Mohsin…
usko bhi kho diya jisey paya tha khwab main.

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.