Type Here to Get Search Results !

faiz ahmed faiz poetry | aaye kuch abr kuch sharāb aaye

 

faiz ahmed faiz poetry | aaye kuch abr kuch  sharāb aaye
faiz ahmed faiz poetry | aaye kuch abr kuch  sharāb aaye

آئے کچھ ابر کچھ شراب آئے


Poet: Faiz Ahmed Faiz By: #UrduPoetrySadShayari

آئے کچھ ابر کچھ شراب آئے
اس کے بعد آئے جو عذاب آئے


بام مینا سے ماہتاب اترے
دست ساقی میں آفتاب آئے


ہر رگ خوں میں پھر چراغاں ہو
سامنے پھر وہ بے نقاب آئے


عمر کے ہر ورق پہ دل کی نظر
تیری مہر و وفا کے باب آئے


کر رہا تھا غم جہاں کا حساب
آج تم یاد بے حساب آئے


نہ گئی تیرے غم کی سرداری
دل میں یوں روز انقلاب آئے

جل اٹھے بزم غیر کے در و بام
جب بھی ہم خانماں خراب آئے


اس طرح اپنی خامشی گونجی
گویا ہر سمت سے جواب آئے


فیضؔ تھی راہ سر بسر منزل
ہم جہاں پہنچے کامیاب آئے



aaye kuch abr kuch  sharāb aaye

is ke baad aaye jo azaab aaye


bām-e-mīnā se māhtāb utre

dast-e-sāqī meñ āftāb aa.e


har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho

sāmne phir vo be-naqāb aaye


umr ke har varaq pe dil kī nazar

terī mehr-o-vafā ke baab aaye


kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb

aaj tum yaad be-hisāb aaye


na ga.ī tere ġham kī sardārī

dil meñ yuuñ roz inqalāb aaye


jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām

jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aaye


is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī

goyā har samt se javāb aaye


'faiz' thī raah sar-ba-sar manzil

ham jahāñ pahuñche kāmyāb aaye




Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.